aankh ke goshe ho kar nam aabaad hue
aañkh ke goshe ho kar nam ābād hue
dil kī bastī ke sab ġham ābād hue
jaise ik dariyā chūme sahrāoñ ko
tere lams pe aise ham ābād hue
kis ne chhū kar ham ko hosh dilāyā hai
kis ke chhūne se phir ham ābād hue
dīvāreñ darvāze aur ham dīvāne
sun kar paa.el kī chham-chham ābād hue
dil ne terā naam liyā sarshārī meñ
sāñsoñ ke vīrān ridham ābād hue
aankh ke goshe ho kar nam aabaad hue
dil ki basti ke sab gham aabaad hue
jaise ek dariya chume sahraon ko
tere lams pe aise hum aabaad hue
kis ne chhu kar hum ko hosh dilaya hai
kis ke chhune se phir hum aabaad hue
diwaren darwaze aur hum diwane
sun kar pael ki chham-chham aabaad hue
dil ne tera nam liya sarshaari mein
sanson ke viran ridham aabaad hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.