aankh ke kunj mein ek dasht-e-tamanna le kar
aañkh ke kunj meñ ik dasht-e-tamannā le kar
ajnabī des ko nikle dil-e-tanhā le kar
dekh to khol ke tārīk makāñ kī khiḌkī
ham tire shahr meñ aa.e haiñ ujālā le kar
ham bhī pahuñche the gulistāñ meñ sukūñ kī ḳhātir
aa ga.e zehn meñ taptā huā sahrā le kar
ab nigāhoñ kī jarāhat ko liye sochte haiñ
kyuuñ ga.e bazm meñ ham zauq-e-tamāshā le kar
kab se fariyād-ba-lab āb-talab hai shīrīñ
aaj farhād bhī niklā nahīñ tesha le kar
rū-siyah tere bane chashm-o-charāg-e-zindāñ
ghuum ab shahr meñ tū chehra-e-zebā le kar
is chakā-chauñd meñ ab mujh ko dikhā.ī kyā de
aa ga.e aap to ik nuur kā dariyā le kar
jab bhī hālāt ke sho.aloñ meñ ghirā huuñ 'betāb'
aa hī pahuñchā hai koī phuul sā chehra le kar
aankh ke kunj mein ek dasht-e-tamanna le kar
ajnabi des ko nikle dil-e-tanha le kar
dekh to khol ke tarik makan ki khiDki
hum tere shahr mein aae hain ujala le kar
hum bhi pahunche the gulistan mein sukun ki KHatir
aa gae zehn mein tapta hua sahra le kar
ab nigahon ki jarahat ko liye sochte hain
kyun gae bazm mein hum zauq-e-tamasha le kar
kab se fariyaad-ba-lab aab-talab hai shirin
aaj farhad bhi nikla nahin tesha le kar
ru-siyah tere bane chashm-o-charag-e-zindan
ghum ab shahr mein tu chehra-e-zeba le kar
is chaka-chaund mein ab mujh ko dikhai kya de
aa gae aap to ek nur ka dariya le kar
jab bhi haalat ke shoalon mein ghira hun 'betab'
aa hi pahuncha hai koi phul sa chehra le kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.