aankh khulte hi tera nam pukara jae
aañkh khulte hī tirā naam pukārā jaa.e
ḳhvāb koī bhī na be-kār hamārā jaa.e
jis ko bhī merī kisī baat pe shak guzrā hai
us galī meñ vo mire saath dobāra jaa.e
ab agar aur koī hukm bajā laanā hai
mujh pe vo sher kī sūrat meñ utārā jaa.e
koī bhī shaḳhs mire haath pe bai'at na kare
phir koī shaḳhs mire saath na maarā jaa.e
aur masraf hī nahīñ us kā mire paas 'ayāz'
haañ magar dil ko kisī husn pe vaarā jaa.e
aankh khulte hi tera nam pukara jae
KHwab koi bhi na be-kar hamara jae
jis ko bhi meri kisi baat pe shak guzra hai
us gali mein wo mere sath dobara jae
ab agar aur koi hukm baja lana hai
mujh pe wo sher ki surat mein utara jae
koi bhi shaKHs mere hath pe bai'at na kare
phir koi shaKHs mere sath na mara jae
aur masraf hi nahin us ka mere pas 'ayaz'
han magar dil ko kisi husn pe wara jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.