aankh ki jagir ashkon ke siwa kuchh bhi nahin
aañkh kī jāgīr ashkoñ ke sivā kuchh bhī nahīñ
āñsuoñ ke daam meñ lekin milā kuchh bhī nahīñ
hai purānā peḌ bargad kā use sab ilm hai
panchhiyoñ ko thā bharam ye jāntā kuchh bhī nahīñ
kuchh to kahnā chāhtī thī merī ḳhāmoshī tumheñ
tum baḌe masrūf the tum ne sunā kuchh bhī nahīñ
is dil-e-nāshād kā ilzām us ke sar ho kyoñ
vo hai thoḌā bevafā is ke sivā kuchh bhī nahīñ
kuchh adhūrī ḳhvāhisheñ aur chand ziddī hausle
zindagī kā falsafa is ke sivā kuchh bhī nahīñ
ġham nahīñ dilbar nahīñ aur āshiqī bhī kī nahīñ
zindagī baḳhshī thī rab ne to jiyā kuchh bhī nahīñ
aankh ki jagir ashkon ke siwa kuchh bhi nahin
aansuon ke dam mein lekin mila kuchh bhi nahin
hai purana peD bargad ka use sab ilm hai
panchhiyon ko tha bharam ye jaanta kuchh bhi nahin
kuchh to kahna chahti thi meri KHamoshi tumhein
tum baDe masruf the tum ne suna kuchh bhi nahin
is dil-e-nashad ka ilzam us ke sar ho kyon
wo hai thoDa bewafa is ke siwa kuchh bhi nahin
kuchh adhuri KHwahishen aur chand ziddi hausle
zindagi ka falsafa is ke siwa kuchh bhi nahin
gham nahin dilbar nahin aur aashiqi bhi ki nahin
zindagi baKHshi thi rab ne to jiya kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.