aañkh kisī kī giilī thī
raat baḌī dardīlī thī
prem kā jis ne zahr piyā
rangat us kī niilī thī
dafn the mere ḳhvāb jahāñ
vo dhartī chamkīlī thī
patthar giit bane jis se
merī soch surīlī thī
raat kā dard liye dil meñ
uushā kitnī piilī thī
'raaj kī mastī kyā kahiye
sab kī aañkh nashīlī thī
aankh kisi ki gili thi
raat baDi dardili thi
prem ka jis ne zahr piya
rangat us ki nili thi
dafn the mere KHwab jahan
wo dharti chamkili thi
patthar git bane jis se
meri soch surili thi
raat ka dard liye dil mein
usha kitni pili thi
'raj ki masti kya kahiye
sab ki aankh nashili thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.