aankh ko ashk bana ke dekh
aañkh ko ashk banā ke dekh
phir darshan ko jā ke dekh
manzil kī qīmat mat pūchh
raah meñ dhakke khā ke dekh
patthar bhī khil uTTheñge
ek nazar muskā ke dekh
ka.aba kāshī dekh liye
mere bhī ghar aa ke dekh
duniyā merī muTThī meñ
logoñ ko bahkā ke dekh
añdhiyāroñ ko jot banā
ḳhāmoshī ko gā ke dekh
kab tak puujā ġhairoñ kī
ḳhud pe īmāñ lā ke dekh
aankh ko ashk bana ke dekh
phir darshan ko ja ke dekh
manzil ki qimat mat puchh
rah mein dhakke kha ke dekh
patthar bhi khil uTThenge
ek nazar muska ke dekh
kaba kashi dekh liye
mere bhi ghar aa ke dekh
duniya meri muTThi mein
logon ko bahka ke dekh
andhiyaron ko jot bana
KHamoshi ko ga ke dekh
kab tak puja ghairon ki
KHud pe iman la ke dekh
- Book : Apne Ghar Tak Aa Pauhncha Hoon (Pg. 55)
- Author : Aslam Habib
- Publication : Educational Publishing House, Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.