aankh ko husn ka shahkar dikhane se rahi
aañkh ko husn kā shāhkār dikhāne se rahī
shā.irī un ke ḳhad-o-ḳhāl banāne se rahī
ye sabhī dasht mirā josh-e-junūñ jānte haiñ
ye havā merī tarah ḳhaak uḌāne se rahī
terī bāñheñ na sahī vus.at-e-sahrā hī sahī
merī miTTī to kisī taur Thikāne se rahī
ham ne bhī chehra badalne kā hunar siikh liyā
dostī apnī bhī kuchh roz zamāne se rahī
khaa.e jaatā hai shab-o-roz tire hijr kā ġham
merī tanhā.ī mirī umr baḌhāne se rahī
ab kisī aur ke dar pe hai yaqīnan 'aḳhtar'
zindagī mujh se to ab aañkh milāne se rahī
aankh ko husn ka shahkar dikhane se rahi
shairi un ke KHad-o-KHal banane se rahi
ye sabhi dasht mera josh-e-junun jaante hain
ye hawa meri tarah KHak uDane se rahi
teri banhen na sahi wusat-e-sahra hi sahi
meri miTTi to kisi taur Thikane se rahi
hum ne bhi chehra badalne ka hunar sikh liya
dosti apni bhi kuchh roz zamane se rahi
khae jata hai shab-o-roz tere hijr ka gham
meri tanhai meri umr baDhane se rahi
ab kisi aur ke dar pe hai yaqinan 'aKHtar'
zindagi mujh se to ab aankh milane se rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.