aankh ko manzar manzar rone wala hai
aañkh ko manzar manzar rone vaalā hai
dil kā shīsha phir se TūTne vaalā hai
pahle chup ko chup ke saath adāvat thī
ab ye mausam ḳhud se jhaḌne vaalā hai
ek mohabbat se bhī dil ghabrātā hai
ab to ye sannāTā bolne vaalā hai
ḳhushbū kī āzādī qādir khultā hai
kaun havā kā dāman kholne vaalā hai
aane vaalī raat pe hī mauqūf nahīñ
ek diyā to haath pe jalne vaalā hai
dil kī dhaḌkan meñ āseb-pasandī hai
koī apne aap se Darne vaalā hai
aankh ko manzar manzar rone wala hai
dil ka shisha phir se TuTne wala hai
pahle chup ko chup ke sath adawat thi
ab ye mausam KHud se jhaDne wala hai
ek mohabbat se bhi dil ghabraata hai
ab to ye sannaTa bolne wala hai
KHushbu ki aazadi qadir khulta hai
kaun hawa ka daman kholne wala hai
aane wali raat pe hi mauquf nahin
ek diya to hath pe jalne wala hai
dil ki dhaDkan mein aaseb-pasandi hai
koi apne aap se Darne wala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.