aankh ko namnak kar jata hai aksar in dinon
aañkh ko namnāk kar jaatā hai aksar in dinoñ
aap se mil kar bichhaḌ jaane kā manzar in dinoñ
ham asīr-e-zulf-e-jānāñ hijr ke maare sahī
raushnī karte haiñ aksar dil jalā kar in dinoñ
saas ke ta.anoñ se jal kar mar ga.ī koī bahū
tazkira muflis kī beTī kā hai ghar-ghar in dinoñ
kuchh tumhārī bevafā.ī se bhī dil ghāyal huā
kuchh to apnā bhī hai bargashta muqaddar in dinoñ
kāñch ke mahloñ meñ vo rahte to haiñ 'nayyar' magar
apne hāthoñ meñ liye phirte haiñ patthar in dinoñ
aankh ko namnak kar jata hai aksar in dinon
aap se mil kar bichhaD jaane ka manzar in dinon
hum asir-e-zulf-e-jaanan hijr ke mare sahi
raushni karte hain aksar dil jala kar in dinon
sas ke tanon se jal kar mar gai koi bahu
tazkira muflis ki beTi ka hai ghar-ghar in dinon
kuchh tumhaari bewafai se bhi dil ghayal hua
kuchh to apna bhi hai bargashta muqaddar in dinon
kanch ke mahlon mein wo rahte to hain 'nayyar' magar
apne hathon mein liye phirte hain patthar in dinon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.