aankh lagti bhi nahin hai ki jaga deta hai
aañkh lagtī bhī nahīñ hai ki jagā detā hai
koī darvāze kī zanjīr hilā detā hai
ghar se niklo to patā jeb meñ rakh kar niklo
hādisa chehre kī pahchān miTā detā hai
ham jo baḌhte haiñ kabhī amn kā parcham le kar
rāstoñ meñ koī bārūd bichhā detā hai
tum sadāqat kī ghanī chhāñv meñ pī kar dekho
zahr sachchā.ī kā amrit kā mazā detā hai
maut ke lab pe fusūñ-kār hañsī aatī hai
jab kisī ko koī jiine kī duā detā hai
maslahat se nahīñ ḳhālī ye zamāna 'ālam'
be-ġharaz koī kisī ko yahāñ kyā detā hai
aankh lagti bhi nahin hai ki jaga deta hai
koi darwaze ki zanjir hila deta hai
ghar se niklo to pata jeb mein rakh kar niklo
hadisa chehre ki pahchan miTa deta hai
hum jo baDhte hain kabhi amn ka parcham le kar
raston mein koi barud bichha deta hai
tum sadaqat ki ghani chhanw mein pi kar dekho
zahr sachchai ka amrit ka maza deta hai
maut ke lab pe fusun-kar hansi aati hai
jab kisi ko koi jine ki dua deta hai
maslahat se nahin KHali ye zamana 'alam'
be-gharaz koi kisi ko yahan kya deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.