aankh mangi to mujhe de diya dariya usne
aañkh māñgī to mujhe de diyā dariyā us ne
hoñT māñge to diyā pyaas kā sahrā us ne
bistar-e-ḳhvāb pe ārām kī ḳhvāhish thī bahut
tohfa-e-dard-e-mohabbat se navāzā us ne
zindagī bhar ke liye rizq mirā band kiyā
sabr kā de ke mujhe ek nivālā us ne
baat tanhā.ī se karne kā diyā izn mujhe
bazm-e-ahbāb meñ ḳhāmosh biThāyā us ne
chand sāñsoñ kā jahāñ ḳhalq kiyā mere liye
quvvat-e-bāzū-o-par de ke uḌāyā us ne
chāhtā thā ki har ik fan meñ mukammal ho jā.ūñ
maiñ jo girne lagā mujh ko na sañbhālā us ne
kū-ba-kū phirte rahe naḳhl-e-junūñ mil na sakā
shahr-e-idrāk meñ barsoñ to ghumāyā us ne
maiñ ne dekhā nahīñ ehsās huā hai mujh ko
khol rakkhā hai mire ghar meñ darīcha us ne
vaqt ke saath huā jaatā hai gahrā ye savāl
kyoñ dikhāyā thā chamaktā huā taarā us ne
us ke chehre kī tilāvat se na ġhāfil ho jā.ūñ
is liye aa.ina hāthoñ se girāyā us ne
zindagī jaise guzarnī thī vo guzrī 'yāvar'
gul-sifat ḳhvāb mujhe roz dikhāyā us ne
aankh mangi to mujhe de diya dariya us ne
honT mange to diya pyas ka sahra us ne
bistar-e-KHwab pe aaram ki KHwahish thi bahut
tohfa-e-dard-e-mohabbat se nawaza us ne
zindagi bhar ke liye rizq mera band kiya
sabr ka de ke mujhe ek niwala us ne
baat tanhai se karne ka diya izn mujhe
bazm-e-ahbab mein KHamosh biThaya us ne
chand sanson ka jahan KHalq kiya mere liye
quwwat-e-bazu-o-par de ke uDaya us ne
chahta tha ki har ek fan mein mukammal ho jaun
main jo girne laga mujh ko na sanbhaala us ne
ku-ba-ku phirte rahe naKHl-e-junun mil na saka
shahr-e-idrak mein barson to ghumaya us ne
main ne dekha nahin ehsas hua hai mujh ko
khol rakkha hai mere ghar mein daricha us ne
waqt ke sath hua jata hai gahra ye sawal
kyon dikhaya tha chamakta hua tara us ne
us ke chehre ki tilawat se na ghafil ho jaun
is liye aaina hathon se giraya us ne
zindagi jaise guzarni thi wo guzri 'yawar'
gul-sifat KHwab mujhe roz dikhaya us ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.