aankh mein aansu labon par aah dil mein dard hai
aañkh meñ aañsū laboñ par aah dil meñ dard hai
tere saudā.ī kī nazroñ meñ to duniyā gard hai
ik jhalak dekhī thī us ne un kī auj-e-charḳh par
rashk se mahtāb kā chehra abhī tak zard hai
ḳhush-nasībān-e-rah-e-ulfat to manzil pā ga.e
apne hisse meñ jo aa.ī vo safar kī gard hai
merī barbādī ne un ko aur rusvā kar diyā
ab to duniyā kah rahī hai vo baḌā be-dard hai
ibtidā-e-ishq kī vo garmī-e-lazzat kahāñ
ik zamāna ho gayā ye aag bilkul sard hai
us kī chhoḌo tum na bhaTko mulkoñ mulkoñ pyaar meñ
'soz' to rusvā hai dīvāna hai kūcha-gard hai
aankh mein aansu labon par aah dil mein dard hai
tere saudai ki nazron mein to duniya gard hai
ek jhalak dekhi thi us ne un ki auj-e-charKH par
rashk se mahtab ka chehra abhi tak zard hai
KHush-nasiban-e-rah-e-ulfat to manzil pa gae
apne hisse mein jo aai wo safar ki gard hai
meri barbaadi ne un ko aur ruswa kar diya
ab to duniya kah rahi hai wo baDa be-dard hai
ibtida-e-ishq ki wo garmi-e-lazzat kahan
ek zamana ho gaya ye aag bilkul sard hai
us ki chhoDo tum na bhaTko mulkon mulkon pyar mein
'soz' to ruswa hai diwana hai kucha-gard hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.