aankh mein gar tujhe rakkha jae
aañkh meñ gar tujhe rakkhā jaa.e
phir koī ḳhvāb na dekhā jaa.e
us se bichhḌe to samajh meñ aayā
yuuñ kisī ko bhī na chāhā jaa.e
mujh ko bhī saath liye phirtā hai
jis taraf soch kā dariyā jaa.e
apne andar vo chhupā baiThā hai
apne hī aap ko parkhā jaa.e
ek nuqte pe jamī haiñ socheñ
ghar se bāhar kahīñ niklā jaa.e
aankh mein gar tujhe rakkha jae
phir koi KHwab na dekha jae
us se bichhDe to samajh mein aaya
yun kisi ko bhi na chaha jae
mujh ko bhi sath liye phirta hai
jis taraf soch ka dariya jae
apne andar wo chhupa baiTha hai
apne hi aap ko parkha jae
ek nuqte pe jami hain sochen
ghar se bahar kahin nikla jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.