aankh mein ratjaga to hai hi nahin
aañkh meñ ratjagā to hai hī nahīñ
hijr kā tazkira to hai hī nahīñ
mil gayā tū to mil gayā sab kuchh
aur kuchh māñgnā to hai hī nahīñ
ek hī rāsta najāt kā hai
dūsrā rāsta to hai hī nahīñ
aks mujh ko dikhā rahā hai kaun
sāmne aa.ina to hai hī nahīñ
ma.azarat kar na bevafā kah kar
ab mujhe mānñā to hai hī nahīñ
ye maraz ishq kā maraz hai miyāñ
is maraz kī davā to hai hī nahīñ
aap apnoñ meñ ab nahīñ shāmil
aap se ab gila to hai hī nahīñ
dostoñ par yaqīn puḳhta hai
dushmanoñ par shubah to hai hī nahīñ
aankh mein ratjaga to hai hi nahin
hijr ka tazkira to hai hi nahin
mil gaya tu to mil gaya sab kuchh
aur kuchh mangna to hai hi nahin
ek hi rasta najat ka hai
dusra rasta to hai hi nahin
aks mujh ko dikha raha hai kaun
samne aaina to hai hi nahin
mazarat kar na bewafa kah kar
ab mujhe manna to hai hi nahin
ye maraz ishq ka maraz hai miyan
is maraz ki dawa to hai hi nahin
aap apnon mein ab nahin shamil
aap se ab gila to hai hi nahin
doston par yaqin puKHta hai
dushmanon par shubah to hai hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.