aankh mein ye jo jhilmilaya hai
aañkh meñ ye jo jhilmilāyā hai
koī aaseb hai ki saayā hai
sab mujhe ek ek dhaḌkan deñ
maiñ ne kāġhaz pe dil banāyā hai
dekhne log aa rahe haiñ mujhe
kaisā dīvār se lagāyā hai
maiñ parindoñ ke biich rahtā huuñ
mere atrāf sur kī chhāyā hai
phir kahīñ jā ke ye banī hai bahār
dhuup meñ raat ko milāyā hai
ḳhvāb se ḳhvāb meñ mujhe 'rāval'
phir kisī dard ne jagāyā hai
aankh mein ye jo jhilmilaya hai
koi aaseb hai ki saya hai
sab mujhe ek ek dhaDkan den
main ne kaghaz pe dil banaya hai
dekhne log aa rahe hain mujhe
kaisa diwar se lagaya hai
main parindon ke bich rahta hun
mere atraf sur ki chhaya hai
phir kahin ja ke ye bani hai bahaar
dhup mein raat ko milaya hai
KHwab se KHwab mein mujhe 'rawal'
phir kisi dard ne jagaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.