aankh meri ulaT gai hogi
aañkh merī ulaT ga.ī hogī
ḳhvāb kī umr ghaT ga.ī hogī
maañg se ḳhuun bah rahā hogā
ḳhaak se zulf aT ga.ī hogī
ruuh apne safar pe niklī jab
tan se miTTī chimaT ga.ī hogī
āḳhirī baat darmiyāñ hī thī
aur phir kaal kaT ga.ī hogī
yā ziyāda qarīb thā vo shaḳhs
yā zamīñ hī simaT ga.ī hogī
hijr kī shab ko jab koī na milā
mujh se aa kar lipaT ga.ī hogī
chal paḌī sub.h kī taraf jab maiñ
raah se raat haT ga.ī hogī
tum mirā chehra dekhne aanā
raushnī jab palaT ga.ī hogī
dukh agar the mire tavīl bahut
to ḳhushī do minute ga.ī hogī
jab koī qahqaha nahīñ hogā
'sa.adiya' dukh meñ baT ga.ī hogī
aankh meri ulaT gai hogi
KHwab ki umr ghaT gai hogi
mang se KHun bah raha hoga
KHak se zulf aT gai hogi
ruh apne safar pe nikli jab
tan se miTTi chimaT gai hogi
aaKHiri baat darmiyan hi thi
aur phir kal kaT gai hogi
ya ziyaada qarib tha wo shaKHs
ya zamin hi simaT gai hogi
hijr ki shab ko jab koi na mila
mujh se aa kar lipaT gai hogi
chal paDi subh ki taraf jab main
rah se raat haT gai hogi
tum mera chehra dekhne aana
raushni jab palaT gai hogi
dukh agar the mere tawil bahut
to KHushi do minute gai hogi
jab koi qahqaha nahin hoga
'sadiya' dukh mein baT gai hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.