aankh patthar ki tarah aks se Khaali hogi
aañkh patthar kī tarah 'aks se ḳhālī hogī
ḳhūn-e-nāhaq kī magar jism pe laalī hogī
mil ke baiTheñge vahī log adhūre aadhe
phir vahī mez vahī sard piyālī hogī
aise mausam meñ vo chup-chāp nazar jo aayā
us ne āñkhoñ meñ koī shakl basā lī hogī
maiñ ne jo chiiz gañvā dī use hiirā kah ke
kisī nādār musāfir ne uThā lī hogī
us ko lafzoñ meñ utārūñ to varaq huuñ raushan
us kī tasvīr banā luuñ to misālī hogī
mil bhī jaa.e mirī ḳhvāhish kā sila jo mujh ko
ruuh apnī vahī majbūr savālī hogī
yaar 'fikrī' ye chamakte hue jugnū rakh le
raat jangal kī abhī aur bhī kaalī hogī
aankh patthar ki tarah 'aks se KHali hogi
KHun-e-nahaq ki magar jism pe lali hogi
mil ke baiThenge wahi log adhure aadhe
phir wahi mez wahi sard piyali hogi
aise mausam mein wo chup-chap nazar jo aaya
us ne aankhon mein koi shakl basa li hogi
main ne jo chiz ganwa di use hira kah ke
kisi nadar musafir ne uTha li hogi
us ko lafzon mein utarun to waraq hun raushan
us ki taswir bana lun to misali hogi
mil bhi jae meri KHwahish ka sila jo mujh ko
ruh apni wahi majbur sawali hogi
yar 'fikri' ye chamakte hue jugnu rakh le
raat jangal ki abhi aur bhi kali hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.