aankh se aankh mila baat banata kyun hai
aañkh se aañkh milā baat banātā kyuuñ hai
tū agar mujh se ḳhafā hai to chhupātā kyuuñ hai
ġhair lagtā hai na apnoñ kī tarah miltā hai
tū zamāne kī tarah mujh ko satātā kyuuñ hai
vaqt ke saath hī hālāt badal jaate haiñ
ye haqīqat hai magar mujh ko sunātā kyuuñ hai
ek muddat se jahāñ qāfile guzre hī nahīñ
aisī rāhoñ pe charāġhoñ ko jalātā kyuuñ hai
aankh se aankh mila baat banata kyun hai
tu agar mujh se KHafa hai to chhupata kyun hai
ghair lagta hai na apnon ki tarah milta hai
tu zamane ki tarah mujh ko satata kyun hai
waqt ke sath hi haalat badal jate hain
ye haqiqat hai magar mujh ko sunata kyun hai
ek muddat se jahan qafile guzre hi nahin
aisi rahon pe charaghon ko jalata kyun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.