aankh se aansu Dhalke Dhalke
aañkh se aañsū Dhalke Dhalke
jaise sāġhar chhalke chhalke
jhoñke havā ke halke halke
sapnoñ se āñchal Dhalke Dhalke
TeḌhe meḌhe in rastoñ par
chaliye sañbhal ke chaliye sañbhal ke
ham ne to pahchān liyā hai
vo aa.e haiñ ruup badal ke
un kī qismat saare ujāle
apnā muqaddar sirf dhuñdalke
itnā kahūñgā aap 'kalīm' ab
ḳhvāb na dekho tāj-mahal ke
aankh se aansu Dhalke Dhalke
jaise saghar chhalke chhalke
jhonke hawa ke halke halke
sapnon se aanchal Dhalke Dhalke
TeDhe meDhe in raston par
chaliye sanbhal ke chaliye sanbhal ke
hum ne to pahchan liya hai
wo aae hain rup badal ke
un ki qismat sare ujale
apna muqaddar sirf dhundalke
itna kahunga aap 'kalim' ab
KHwab na dekho taj-mahal ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.