aankh se aansu Tapakta jae hai
aañkh se aañsū Tapaktā jaa.e hai
har musāfir sar paTaktā jaa.e hai
nāzukī kyā kahiye nāzuk phuul kī
bār-e-shabnam se lachaktā jaa.e hai
zaḳhm-e-dil ham ne chhupāyā to magar
phuul kī sūrat mahaktā jaa.e hai
kah rahā huuñ maiñ to apnī dāstāñ
kyoñ tumhārā dil dhaḌaktā jaa.e hai
jab bujhānā chāhtā huuñ ġham kī aag
aur bhī sho.ala bhaḌaktā jaa.e hai
lab pe nāseh ke nasīhat hai magar
haath meñ sāġhar chhalaktā jaa.e hai
dīda-e-maqtūl meñ ab kis liye
aks qātil kā jhalaktā jaa.e hai
raah meñ pahle bhaTaktā thā 'azīz'
ab sar-e-manzil bhaTaktā jaa.e hai
aankh se aansu Tapakta jae hai
har musafir sar paTakta jae hai
nazuki kya kahiye nazuk phul ki
bar-e-shabnam se lachakta jae hai
zaKHm-e-dil hum ne chhupaya to magar
phul ki surat mahakta jae hai
kah raha hun main to apni dastan
kyon tumhaara dil dhaDakta jae hai
jab bujhana chahta hun gham ki aag
aur bhi shoala bhaDakta jae hai
lab pe naseh ke nasihat hai magar
hath mein saghar chhalakta jae hai
dida-e-maqtul mein ab kis liye
aks qatil ka jhalakta jae hai
rah mein pahle bhaTakta tha 'aziz'
ab sar-e-manzil bhaTakta jae hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.