aankh se jhaDne lage ruKHsar ko mahka gae
aañkh se jhaḌne lage ruḳhsār ko mahkā ga.e
kuchh sitāre ratjagoñ kī dastaras meñ aa ga.e
be-mahal sī guftugū se rāste bujhne lage
mere hamrāhī mire afkār ko bhī khā ga.e
jabr kaise rok pā.egā na.ī tā'bīr ko
ḳhvāb jab āñkhoñ kī dīvāroñ se bāhar aa ga.e
maiñ tumhāre shahr se guzrā to kuchh aise lagā
dil udāsī aa.ina patthar baham Takrā ga.e
dard ke peḌoñ pe baiThe jugnuoñ kī ḳhair ho
bebasī ke dasht meñ ummīd thāme aa ga.e
chāñdnī aur dasht kā kuchh to ta'alluq hai 'safī'
be-sabab yūñhī nahīñ palkoñ pe motī chhā ga.e
aankh se jhaDne lage ruKHsar ko mahka gae
kuchh sitare ratjagon ki dastaras mein aa gae
be-mahal si guftugu se raste bujhne lage
mere hamrahi mere afkar ko bhi kha gae
jabr kaise rok paega nai ta'bir ko
KHwab jab aankhon ki diwaron se bahar aa gae
main tumhaare shahr se guzra to kuchh aise laga
dil udasi aaina patthar baham Takra gae
dard ke peDon pe baiThe jugnuon ki KHair ho
bebasi ke dasht mein ummid thame aa gae
chandni aur dasht ka kuchh to ta'alluq hai 'safi'
be-sabab yunhi nahin palkon pe moti chha gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.