aankh se jo nami nahin jati
aañkh se jo namī nahīñ jaatī
ġham kī shiddat sahī nahīñ jaatī
ik na ik baat aisī hotī hai
jo kisī se kahī nahīñ jaatī
merī to jaan par banī huī hai
aur tirī dil-lagī nahīñ jaatī
tū mire rū-ba-rū na ho jab tak
dil kī hālat kahī nahīñ jaatī
vaqt yuuñ to guzartā jaatā hai
hijr kī ik ghaḌī nahīñ jaatī
'umr pardes meñ guzārī par
des kī tishnagī nahīñ jaatī
jhuuT chehre pe darj hai tere
dāstāñ tak ghaḌī nahīñ jaatī
kar chukā paash paash vo dil ko
ġham kī shiddat sahī nahīñ jaatī
yuuñ mayassar mujhe sabhī kuchh hai
ek terī kamī nahīñ jaatī
rang ḳhushbū gulāb sab kuchh hai
dil kī be-raunaqī nahīñ jaatī
qasr-e-muim sukūt-e-ḳhalvat hai
dil kī par be-kalī nahīñ jaatī
ye jo talḳhī hai us ke lahje meñ
'shamsa' mujh se sahī nahīñ jaatī
aankh se jo nami nahin jati
gham ki shiddat sahi nahin jati
ek na ek baat aisi hoti hai
jo kisi se kahi nahin jati
meri to jaan par bani hui hai
aur teri dil-lagi nahin jati
tu mere ru-ba-ru na ho jab tak
dil ki haalat kahi nahin jati
waqt yun to guzarta jata hai
hijr ki ek ghaDi nahin jati
'umr pardes mein guzari par
des ki tishnagi nahin jati
jhuT chehre pe darj hai tere
dastan tak ghaDi nahin jati
kar chuka pash pash wo dil ko
gham ki shiddat sahi nahin jati
yun mayassar mujhe sabhi kuchh hai
ek teri kami nahin jati
rang KHushbu gulab sab kuchh hai
dil ki be-raunaqi nahin jati
qasr-e-muim sukut-e-KHalwat hai
dil ki par be-kali nahin jati
ye jo talKHi hai us ke lahje mein
'shamsa' mujh se sahi nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.