aankh se KHwab ka rishta nahin rahne deti
aañkh se ḳhvāb kā rishta nahīñ rahne detī
yaad us kī mujhe tanhā nahīñ rahne detī
lazzat-e-dar-badarī meñ baḌī vus.at hai ki ye
dar-o-dīvār kā jhagḌā nahīñ rahne detī
ghar ho yā raunaq-e-bāzār kahīñ bhī jā.ūñ
be-qarārī to kisī jā nahīñ rahne detī
band kar luuñ to ajab naqsh nazar aate haiñ
aañkh mahrūm-e-tamāshā nahīñ rahne detī
ḳhvāhish-e-zar kī havā dil ke siyah-ḳhāne meñ
ik diyā hai jise jaltā nahīñ rahne detī
aankh se KHwab ka rishta nahin rahne deti
yaad us ki mujhe tanha nahin rahne deti
lazzat-e-dar-badari mein baDi wusat hai ki ye
dar-o-diwar ka jhagDa nahin rahne deti
ghar ho ya raunaq-e-bazar kahin bhi jaun
be-qarari to kisi ja nahin rahne deti
band kar lun to ajab naqsh nazar aate hain
aankh mahrum-e-tamasha nahin rahne deti
KHwahish-e-zar ki hawa dil ke siyah-KHane mein
ek diya hai jise jalta nahin rahne deti
- Book : Kitab-e-Rafta (Pg. 175)
- Author : Firasat Rizvi
- Publication : Academy Bazyaft, Karachi Pakistan Lahore (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.