aankh se kis ne raushni mangi
aañkh se kis ne raushnī māñgī
ḳhvāb ke naam zindagī māñgī
maiñ ne lahrā ke apne āñchal ko
tere sapnoñ kī chāñdnī māñgī
zindagī bāñTne jo aa.ī suḳhan
maiñ ne lafzoñ meñ tāzgī māñgī
kab ye chāhā ki dasht ho aage
kab samundar se be-ruḳhī māñgī
yuuñ bhī sajdoñ meñ gir ga.ī aksar
yuuñ bhī 'tābinda' bandagī māñgī
aankh se kis ne raushni mangi
KHwab ke nam zindagi mangi
main ne lahra ke apne aanchal ko
tere sapnon ki chandni mangi
zindagi banTne jo aai suKHan
main ne lafzon mein tazgi mangi
kab ye chaha ki dasht ho aage
kab samundar se be-ruKHi mangi
yun bhi sajdon mein gir gai aksar
yun bhi 'tabinda' bandagi mangi
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 275)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.