aankh se parda na kar parde ka ghar ye bhi to hai
aankh se parda na kar parde ka ghar ye bhi to hai
Chandu Lal Bahadur Shadan
MORE BYChandu Lal Bahadur Shadan
aañkh se parda na kar parde kā ghar ye bhī to hai
tū to dekhe ham na dekheñ Turfa-tar ye bhī to hai
bhuul kar dekhā tujhe āñkhoñ meñ hai terī shabīh
dekhtā hī kyoñ udhar pesh-e-nazar ye bhī to hai
chhup ke us ko dekhnā chāheñ to dekheñ kis tarah
dekhte dekhe na koī ham ko Dar ye bhī to hai
yuuñ sanam ham se safā.ī ki nahīñ karte kalām
baat karne meñ tumhāre ik hunar ye bhī to hai
hai bahut mushtāq 'shādāñ' kab idhar aa.egā tū
is taraf aa jā ki terī rahguzar ye bhī to hai
aankh se parda na kar parde ka ghar ye bhi to hai
tu to dekhe hum na dekhen Turfa-tar ye bhi to hai
bhul kar dekha tujhe aankhon mein hai teri shabih
dekhta hi kyon udhar pesh-e-nazar ye bhi to hai
chhup ke us ko dekhna chahen to dekhen kis tarah
dekhte dekhe na koi hum ko Dar ye bhi to hai
yun sanam hum se safai ki nahin karte kalam
baat karne mein tumhaare ek hunar ye bhi to hai
hai bahut mushtaq 'shadan' kab idhar aaega tu
is taraf aa ja ki teri rahguzar ye bhi to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.