aankh se shoala nikle KHun pasine mein
aañkh se sho.ala nikle ḳhuun pasīne meñ
ḳhush ho miyāñ chiñgārī daaġh ke siine meñ
sadiyoñ kī mohtāt-ravī rah jaatī hai
khā jaatā hai dil ko rog mahīne meñ
jab bhī guzartā huuñ maiñ saañs ukhaḌtī hai
jaane kyā hai us bosīda ziine meñ
jis zambīl meñ tum yādeñ bhar aa.e ho
saañp bhī ek dharā hai saath ḳhazīne meñ
aañkh meñ baaġh thā sabz-rū pahlī kirnoñ kā
dariyā aise chāñd bhī the ā.īne meñ
aankh se shoala nikle KHun pasine mein
KHush ho miyan chingari dagh ke sine mein
sadiyon ki mohtat-rawi rah jati hai
kha jata hai dil ko rog mahine mein
jab bhi guzarta hun main sans ukhaDti hai
jaane kya hai us bosida zine mein
jis zambil mein tum yaaden bhar aae ho
sanp bhi ek dhara hai sath KHazine mein
aankh mein bagh tha sabz-ru pahli kirnon ka
dariya aise chand bhi the aaine mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.