aankh shair ki ho pur-nam to ghazal hoti hai
aañkh shā.ir kī ho pur-nam to ġhazal hotī hai
yād-e-jānāñ kā ho aalam to ġhazal hotī hai
saañs chhupne lage nashtar kī tarah siine meñ
dil ko taḌpā.e shab-e-ġham to ġhazal hotī hai
kabhī chhā jaa.e añdherā kabhī chamke mahtāb
zulf us ruḳh pe ho barham to ġhazal hotī hai
merī jānib mire saaqī kī ho maḳhmūr nazar
aur ho kaif kā aalam to ġhazal hotī hai
shab-e-mahtāb ho jazbāt hoñ aur sehn-e-chaman
husn aise meñ ho hamdam to ġhazal hotī hai
yak-ba-yak kānoñ meñ aane lage āvāz-e-sarosh
zindagī chheḌ de sargam to ġhazal hotī hai
ruuh masrūr ho ehsās ke sannāTe meñ
dāman-e-gul pe ho shabnam to ġhazal hotī hai
dekh kar chaak mire jaib-o-garebāñ 'shabbīr'
hañs paḌe husn-e-mujassam to ġhazal hotī hai
aankh shair ki ho pur-nam to ghazal hoti hai
yaad-e-jaanan ka ho aalam to ghazal hoti hai
sans chhupne lage nashtar ki tarah sine mein
dil ko taDpae shab-e-gham to ghazal hoti hai
kabhi chha jae andhera kabhi chamke mahtab
zulf us ruKH pe ho barham to ghazal hoti hai
meri jaanib mere saqi ki ho maKHmur nazar
aur ho kaif ka aalam to ghazal hoti hai
shab-e-mahtab ho jazbaat hon aur sehn-e-chaman
husn aise mein ho hamdam to ghazal hoti hai
yak-ba-yak kanon mein aane lage aawaz-e-sarosh
zindagi chheD de sargam to ghazal hoti hai
ruh masrur ho ehsas ke sannaTe mein
daman-e-gul pe ho shabnam to ghazal hoti hai
dekh kar chaak mere jaib-o-gareban 'shabbir'
hans paDe husn-e-mujassam to ghazal hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.