aankh Tapkae na lahu dil ka
aañkh Tapkā.e nā lahū dil kā
fā.eda kuchh to ġham ke hāsil kā
din bhikārī kī aarzū kī tarah
raat kashkol jaise saa.il kā
kis ko nazm-e-hayāt ne maarā
shor zindāñ meñ hai salāsil kā
zehn ḳhālī hai bāñjh aurat sā
jism go aa.ina muqābil kā
ziist thī ik sitam masīhā kā
maut ehsān mere qātil kā
aankh Tapkae na lahu dil ka
faeda kuchh to gham ke hasil ka
din bhikari ki aarzu ki tarah
raat kashkol jaise sail ka
kis ko nazm-e-hayat ne mara
shor zindan mein hai salasil ka
zehn KHali hai banjh aurat sa
jism go aaina muqabil ka
zist thi ek sitam masiha ka
maut ehsan mere qatil ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.