aankh Tikti na thi chehre pe hasin aisa tha
aañkh Tiktī na thī chehre pe hasīn aisā thā
dil kī duniyā meñ koī jalva-nashīn aisā thā
dastaras meñ thī magar pā na sakā vo mujh ko
dil meñ ik umr se vo shaḳhs makīn aisā thā
ahd-o-paimāñ se mukarne kā salīqa thā use
detā rahtā thā dalīleñ vo zahīn aisā thā
ab to banjar huā vīrāñ huā barbād huā
ḳhitta-e-dil kabhī shādāb-zamīn aisā thā
mujh ko jāgīr samajhtā thā vo apnī jānāñ
maiñ usī kī huuñ use mujh pe yaqīn aisā thā
aankh Tikti na thi chehre pe hasin aisa tha
dil ki duniya mein koi jalwa-nashin aisa tha
dastaras mein thi magar pa na saka wo mujh ko
dil mein ek umr se wo shaKHs makin aisa tha
ahd-o-paiman se mukarne ka saliqa tha use
deta rahta tha dalilen wo zahin aisa tha
ab to banjar hua viran hua barbaad hua
KHitta-e-dil kabhi shadab-zamin aisa tha
mujh ko jagir samajhta tha wo apni jaanan
main usi ki hun use mujh pe yaqin aisa tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.