aankh to an-paDh hai aur nadan hai
aañkh to an-paḌh hai aur nādān hai
dil kī ḳhvāhish ek hī insān hai
is liye sab aage pīchhe haiñ mire
tujh se jo thoḌī bahut pahchān hai
ham khaḌe haiñ dil hathelī par liye
husn vāloñ par hī us kā dhyān hai
tere qadmoñ kī ziyāfat ke liye
maiñ ne chaukhaT par rakhā guldān hai
paas ik gaz bhī ḳhushī kā hai nahīñ
aur ġham kā puurā puurā thaan hai
hukm rab kā jab talak hotā nahīñ
zindagī kī maut ḳhud nigrān hai
kyā milī shohrat ki sab milne lage
vo bhī jin se duur kī pahchān hai
dil meñ hai hirs-o-havas kī bū bharī
aur phūloñ se sajā dālān hai
ġham bhī itrā kar ḳhushī se kah uThā
ye 'atā' to roz kā mehmān hai
aankh to an-paDh hai aur nadan hai
dil ki KHwahish ek hi insan hai
is liye sab aage pichhe hain mere
tujh se jo thoDi bahut pahchan hai
hum khaDe hain dil hatheli par liye
husn walon par hi us ka dhyan hai
tere qadmon ki ziyafat ke liye
main ne chaukhaT par rakha guldan hai
pas ek gaz bhi KHushi ka hai nahin
aur gham ka pura pura than hai
hukm rab ka jab talak hota nahin
zindagi ki maut KHud nigran hai
kya mili shohrat ki sab milne lage
wo bhi jin se dur ki pahchan hai
dil mein hai hirs-o-hawas ki bu bhari
aur phulon se saja dalan hai
gham bhi itra kar KHushi se kah uTha
ye 'ata' to roz ka mehman hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.