aankh unki nahin daricha hai
aañkh un kī nahīñ darīcha hai
is darīche meñ ḳhud ko dekhā hai
dil pe nashtar chalā ke pūchhte haiñ
hāl-e-dil ab janāb kaisā hai
bhūkā sab ko uThātā vo lekin
bhūkā hargiz nahīñ sulātā hai
dost hī tazkira nahīñ karte
dushmanoñ meñ bhī merā charchā hai
vo ġharīboñ ko daan kyā kartā
dharm īmān jis kā paisa hai
merī fitrat se vo judā niklā
yuuñ to kahne ko merā beTā hai
mahñgā ab to yahāñ hai paanī tak
ḳhūn-e-insāñ baḌā hī sastā hai
tū ne jis ko samajh liyā apnā
terī nazroñ kā sirf dhokā hai
bistar-e-marg par hai baap magar
beTā sasurāl jā ke baiThā hai
vo baḌā dil-jalā hī hogā 'ayāz'
juutā Bush par jo us ne pheñkā hai
aankh un ki nahin daricha hai
is dariche mein KHud ko dekha hai
dil pe nashtar chala ke puchhte hain
haal-e-dil ab janab kaisa hai
bhuka sab ko uThata wo lekin
bhuka hargiz nahin sulata hai
dost hi tazkira nahin karte
dushmanon mein bhi mera charcha hai
wo gharibon ko dan kya karta
dharm iman jis ka paisa hai
meri fitrat se wo juda nikla
yun to kahne ko mera beTa hai
mahnga ab to yahan hai pani tak
KHun-e-insan baDa hi sasta hai
tu ne jis ko samajh liya apna
teri nazron ka sirf dhoka hai
bistar-e-marg par hai bap magar
beTa sasural ja ke baiTha hai
wo baDa dil-jala hi hoga 'ayaz'
juta Bush par jo us ne phenka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.