aankh un se meri mili thi kabhi
aañkh un se mirī milī thī kabhī
dil meñ ik aag sī lagī thī kabhī
yaad hai raat vo hasīñ apnī
āñkhoñ āñkhoñ meñ jo Dhalī thī kabhī
bārhā merā aanā jaanā thā
ye mire yaar kī galī thī kabhī
dil ke is baaġh meñ gulāb kī vo
ek taaza kalī khilī thī kabhī
us ko ik din to gir hī jaanā thā
kachchī dīvār jo banī thī kabhī
yaad hai apnī zindagī bhī 'arun'
chand kāñToñ meñ hī palī thī kabhī
aankh un se meri mili thi kabhi
dil mein ek aag si lagi thi kabhi
yaad hai raat wo hasin apni
aankhon aankhon mein jo Dhali thi kabhi
barha mera aana jaana tha
ye mere yar ki gali thi kabhi
dil ke is bagh mein gulab ki wo
ek taza kali khili thi kabhi
us ko ek din to gir hi jaana tha
kachchi diwar jo bani thi kabhi
yaad hai apni zindagi bhi 'arun'
chand kanTon mein hi pali thi kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.