aankhen bhi mand thin mera dil bhi figar tha
āñkheñ bhī maañd thiiñ mirā dil bhī figār thā
haa.e vo shaḳhs jis kā mujhe intizār thā
mansūb umr-e-rafta ye e.azāz kam nahīñ
ik shaḳhs muntahā-e-ġham-e-e'tibār thā
jab ġhair ke liye na rahā terā lams-e-ġhair
phir terā intizār bhī āñkhoñ pe baar thā
tārīkiyāñ nasīb thiiñ isyān-e-zīst ko
raushan jo thā vo merī vafā kā hisār thā
pahle-pahal jo rabt thā jannat sā apne beach
phir ye khulā vo ishq na thā kār-zār thā
phir yuuñ huā ki us ne bhulā hī diyā mujhe
kartā bhī kyā gila maiñ use iḳhtiyār thā
'āfāq' vo judā bhī huā thā to zo.am se
phir us ko yaad karnā bhī ik shāhkār thā
aankhen bhi mand thin mera dil bhi figar tha
hae wo shaKHs jis ka mujhe intizar tha
mansub umr-e-rafta ye eazaz kam nahin
ek shaKHs muntaha-e-gham-e-e'tibar tha
jab ghair ke liye na raha tera lams-e-ghair
phir tera intizar bhi aankhon pe bar tha
tarikiyan nasib thin isyan-e-zist ko
raushan jo tha wo meri wafa ka hisar tha
pahle-pahal jo rabt tha jannat sa apne beach
phir ye khula wo ishq na tha kar-zar tha
phir yun hua ki us ne bhula hi diya mujhe
karta bhi kya gila main use iKHtiyar tha
'afaq' wo juda bhi hua tha to zoam se
phir us ko yaad karna bhi ek shahkar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.