aankhen gain surur gaya lat chali gai
āñkheñ ga.iiñ surūr gayā lat chalī ga.ī
tum kyā ga.e ki saarī zarūrat chalī ga.ī
tum ko pata hai tum se bichhaḌne pe kyā huā
ham ko akelā chhoḌ ke himmat chalī ga.ī
barsoñ jise kamāne meñ dil ne lagā diye
āñkhoñ ke rāste se vo daulat chalī ga.ī
kal ham talāsh meñ the koī aa.ina mile
ab aa.ina milā hai to sūrat chalī ga.ī
ab chhoḌiye bhī kaisā munāfa kahāñ kā suud
is kārobār-e-ishq meñ lāgat chalī ga.ī
aankhen gain surur gaya lat chali gai
tum kya gae ki sari zarurat chali gai
tum ko pata hai tum se bichhaDne pe kya hua
hum ko akela chhoD ke himmat chali gai
barson jise kamane mein dil ne laga diye
aankhon ke raste se wo daulat chali gai
kal hum talash mein the koi aaina mile
ab aaina mila hai to surat chali gai
ab chhoDiye bhi kaisa munafa kahan ka sud
is karobar-e-ishq mein lagat chali gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.