aankhen hain ashk dil hai dhuan ghar udas hai
āñkheñ haiñ ashk dil hai dhuāñ ghar udaas hai
tujh bin ai ghar kī rūh-e-ravāñ ghar udaas hai
gul-hā-e-nau-bahār haiñ āñgan meñ zard zard
peḌoñ pe khil rahī hai ḳhizāñ ghar udaas hai
birhā baras rahī hai fasurda muñDer se
chiḌiyāñ haiñ chhat pe nauha-kunāñ ghar udaas hai
dil ko jhiñjhoḌte hue saare aziiz lafz
tahrīr haiñ havā meñ jahāñ ghar udaas hai
jo dasht-e-zīst meñ mileñ bichhḌe hue kabhī
kahnā ki tum yahāñ ho vahāñ ghar udaas hai
aankhen hain ashk dil hai dhuan ghar udas hai
tujh bin ai ghar ki ruh-e-rawan ghar udas hai
gul-ha-e-nau-bahaar hain aangan mein zard zard
peDon pe khil rahi hai KHizan ghar udas hai
birha baras rahi hai fasurda munDer se
chiDiyan hain chhat pe nauha-kunan ghar udas hai
dil ko jhinjhoDte hue sare aziz lafz
tahrir hain hawa mein jahan ghar udas hai
jo dasht-e-zist mein milen bichhDe hue kabhi
kahna ki tum yahan ho wahan ghar udas hai
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.