Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aankhen hi ujaD jaen to kya KHwab sajaen

Mohammad Asadullah

aankhen hi ujaD jaen to kya KHwab sajaen

Mohammad Asadullah

MORE BYMohammad Asadullah

    āñkheñ ujaḌ jaa.eñ to kyā ḳhvāb sajā.eñ

    nazroñ se utar jaa.e to kyā dil meñ basā.eñ

    cīḳho yahāñ iz.hār isbāt yahī hai

    āvāz qātil haiñ ye pur-shor fazā.eñ

    is mahshar-e-idrāk meñ ik lamha atā kar

    ishrat-gah-e-ehsās meñ ham bhī utar aa.eñ

    jismoñ ke bulāve meñ giraftār hai sahrā

    aur lams āvāz meñ mahbūs ghaTā.eñ

    be-rañg thiraktī huī titlī ko kisī din

    kuchh rañg bhareñ aañkh ke pyāle meñ girā.eñ

    sahrā meñ khaḌe log isī soch meñ gum haiñ

    aage jo baḌhe koī to ham dauḌ ke leñ

    aankhen hi ujaD jaen to kya KHwab sajaen

    nazron se utar jae to kya dil mein basaen

    ciKHo yahan izhaar ka isbaat yahi hai

    aawaz ki qatil hain ye pur-shor fazaen

    is mahshar-e-idrak mein ek lamha ata kar

    ishrat-gah-e-ehsas mein hum bhi utar aaen

    jismon ke bulawe mein giraftar hai sahra

    aur lams ki aawaz mein mahbus ghaTaen

    be-rang thirakti hui titli ko kisi din

    kuchh rang bharen aankh ke pyale mein giraen

    sahra mein khaDe log isi soch mein gum hain

    aage jo baDhe koi to hum dauD ke ja len

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now