aankhen khuli hain KHwab magar dekh rahi hun
āñkheñ khulī haiñ ḳhvāb magar dekh rahī huuñ
tā-hadd-e-nazar ġham kī Dagar dekh rahī huuñ
lāchār huuñ bebas huuñ magar dekh rahī huuñ
luTte hue apnā ye nagar dekh rahī huuñ
is dhuup kī shiddat meñ kahāñ saaya milegā
girte hue maiñ saare shajar dekh rahī huuñ
vo jin ke lahū-rang se ye shahr sajā hai
ghar un ke hue zer-o-zabar dekh rahī huuñ
dariyā ne hai ruḳh badlā bahā.egā ye kis ko
ḳhāmosh khaḌī is kā safar dekh rahī huuñ
ik roz kī ye baat nahīñ merī 'robīna'
sadiyoñ se maiñ ujḌā huā ghar dekh rahī huuñ
aankhen khuli hain KHwab magar dekh rahi hun
ta-hadd-e-nazar gham ki Dagar dekh rahi hun
lachaar hun bebas hun magar dekh rahi hun
luTte hue apna ye nagar dekh rahi hun
is dhup ki shiddat mein kahan saya milega
girte hue main sare shajar dekh rahi hun
wo jin ke lahu-rang se ye shahr saja hai
ghar un ke hue zer-o-zabar dekh rahi hun
dariya ne hai ruKH badla bahaega ye kis ko
KHamosh khaDi is ka safar dekh rahi hun
ek roz ki ye baat nahin meri 'robina'
sadiyon se main ujDa hua ghar dekh rahi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.