aankhen khulin ki wa dar-e-zindan ho gaya
āñkheñ khulīñ ki vā dar-e-zindān ho gayā
maiñ raushnī ko dekh ke hairān ho gayā
tujh se mushābahat nahīñ rakhtā koī yahāñ
ab tujh ko bhūlnā bhī to āsān ho gayā
us ne kahā ki phuul se titlī uḌā.iye
itnī sī baat par maiñ pareshān ho gayā
maiñ ḳhud se mil gayā thā tirī bāzyāft meñ
kyā mujh pe tere hijr kā ehsān ho gayā
mere tamām ḳhvāb mire dil meñ rah ga.e
merī to saarī umr kā nuqsān ho gayā
aankhen khulin ki wa dar-e-zindan ho gaya
main raushni ko dekh ke hairan ho gaya
tujh se mushabahat nahin rakhta koi yahan
ab tujh ko bhulna bhi to aasan ho gaya
us ne kaha ki phul se titli uDaiye
itni si baat par main pareshan ho gaya
main KHud se mil gaya tha teri bazyaft mein
kya mujh pe tere hijr ka ehsan ho gaya
mere tamam KHwab mere dil mein rah gae
meri to sari umr ka nuqsan ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.