aankhen lahuluhan kin daman bhi tar kiya
āñkheñ lahūluhān kiiñ dāman bhī tar kiyā
terī har ek baat ne dil par asar kiyā
kuchh to tabī.atan bhī the āvāra-gard ham
kuchh terī justujū ne hameñ dar-ba-dar kiyā
yuuñ to hamāre saath ka.ī log the magar
kāñToñ bharī zamīn pe tanhā safar kiyā
ham ne hī apne ḳhuun kā ġhāza diyā tujhe
ham ne hī tujh ko sinf-e-ġhazal mo'atabar kiyā
kis ne hamārī raah meñ kāñTe bichhā diye
kis ne hamārī raah ko dushvār tar kiyā
āḳhir udāsiyoñ ke siyah abr chhaT ga.e
koī to hai hamārā ki shab ko sahar kiyā
sachchā.iyoñ meñ lipTe hue jhuuT ke sabab
mushkil se e'tibār ke jañgal ko sar kiyā
aankhen lahuluhan kin daman bhi tar kiya
teri har ek baat ne dil par asar kiya
kuchh to tabiatan bhi the aawara-gard hum
kuchh teri justuju ne hamein dar-ba-dar kiya
yun to hamare sath kai log the magar
kanTon bhari zamin pe tanha safar kiya
hum ne hi apne KHun ka ghaza diya tujhe
hum ne hi tujh ko sinf-e-ghazal mo'atabar kiya
kis ne hamari rah mein kanTe bichha diye
kis ne hamari rah ko dushwar tar kiya
aaKHir udasiyon ke siyah abr chhaT gae
koi to hai hamara ki shab ko sahar kiya
sachchaiyon mein lipTe hue jhuT ke sabab
mushkil se e'tibar ke jangal ko sar kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.