aankhen thakan se chur hain larzish badan mein hai
āñkheñ thakan se chuur haiñ larzish badan meñ hai
ḳhushbū bahār-o-rang kahāñ ab chaman meñ hai
girtā hai saḳhtiyoñ ke sabab yuuñ vo rāhgīr
quvvat na hausla na junūñ jān-o-tan meñ hai
sahrā kī dhuup meñ jo jhulastā hai umr-bhar
pūchho ki kitnī tishnagī us ke dahan meñ hai
mere lahū se pyaas bujhā.eñge kuchh aziiz
itnī muḳhālifat mirī apne vatan meñ hai
rakkho mere janāze se shikve zarā se duur
itnī jagah lahad meñ na mere kafan meñ hai
karte qubūl maut ġharīb-ul-vatan magar
kis jā vo lutf paate jo ḳhāk-e-vatan meñ hai
'mīsam' ye talḳh lahja ye shikve shikāyateñ
kyā hai jo itnī ājizī tere suḳhan meñ hai
aankhen thakan se chur hain larzish badan mein hai
KHushbu bahaar-o-rang kahan ab chaman mein hai
girta hai saKHtiyon ke sabab yun wo rahgir
quwwat na hausla na junun jaan-o-tan mein hai
sahra ki dhup mein jo jhulasta hai umr-bhar
puchho ki kitni tishnagi us ke dahan mein hai
mere lahu se pyas bujhaenge kuchh aziz
itni muKHalifat meri apne watan mein hai
rakkho mere janaze se shikwe zara se dur
itni jagah lahad mein na mere kafan mein hai
karte qubul maut gharib-ul-watan magar
kis ja wo lutf pate jo KHak-e-watan mein hai
'misam' ye talKH lahja ye shikwe shikayaten
kya hai jo itni aajizi tere suKHan mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.