aankhen tumhaare sath hain manzar tumhaare sath
āñkheñ tumhāre saath haiñ manzar tumhāre saath
dariyā pahāḌ jhiil samundar tumhāre saath
ab kaun jān-būjh ke dā'vat de maut ko
rahte haiñ kul jahān ke lashkar tumhāre saath
ai dost hausla na kahīñ haar jaanā tum
maiñ bhī banā huā huuñ barābar tumhāre saath
maiñ ne har ek baat pe tum ko kiyā mu'āf
merī du'ā hai rab kare behtar tumhāre saath
ye soch kar tumhāre maiñ bhī saath chal paḌā
dekhūñ to kaisā lagtā huuñ chal kar tumhāre saath
aankhen tumhaare sath hain manzar tumhaare sath
dariya pahaD jhil samundar tumhaare sath
ab kaun jaan-bujh ke da'wat de maut ko
rahte hain kul jahan ke lashkar tumhaare sath
ai dost hausla na kahin haar jaana tum
main bhi bana hua hun barabar tumhaare sath
main ne har ek baat pe tum ko kiya mu'af
meri du'a hai rab kare behtar tumhaare sath
ye soch kar tumhaare main bhi sath chal paDa
dekhun to kaisa lagta hun chal kar tumhaare sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.