aankhen udas dil bhi mera be-qarar hai
āñkheñ udaas dil bhī mirā be-qarār hai
diije javāb ḳhat kā mujhe intizār hai
terā 'ḳhatīb' kab se guzārish-guzār hai
aa jā ki hijr meñ tire dil be-qarār hai
dil ne mire pukārā hai tum ko ba-sad-ḳhulūs
ab aao yā na aao tumheñ iḳhtiyār hai
dil bhī machal uThā mirā mausam ko dekh kar
bulbul ko bhī ḳhushī hai chaman meñ bahār hai
ai mausam-e-visāl palaT aa mirī taraf
ehsās-e-hijr-e-yār mire dil pe baar hai
aankhen udas dil bhi mera be-qarar hai
dije jawab KHat ka mujhe intizar hai
tera 'KHatib' kab se guzarish-guzar hai
aa ja ki hijr mein tere dil be-qarar hai
dil ne mere pukara hai tum ko ba-sad-KHulus
ab aao ya na aao tumhein iKHtiyar hai
dil bhi machal uTha mera mausam ko dekh kar
bulbul ko bhi KHushi hai chaman mein bahaar hai
ai mausam-e-visal palaT aa meri taraf
ehsas-e-hijr-e-yar mere dil pe bar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.