aankhen use DhunDengi tamasha nahin hoga
āñkheñ use DhūñDeñgī tamāshā nahīñ hogā
vo dekheñge ham jo kabhī dekhā nahīñ hogā
ik ḳhvāb zar-o-sīm se ghar bhar ga.e saare
ab koī yahāñ niiñd kā maarā nahīñ hogā
dil hogā nahīñ hogā kisī yaad kā maskan
so bām-e-talab par koī chehra nahīñ hogā
ham hoñge nahīñ hoñge tire shām-o-sahar meñ
lekin tujhe is baat kā dhaḌkā nahīñ hogā
ye sar ki bharā hogā farāvānī-e-shab se
phir tā-ba-abad dil meñ ujālā nahīñ hogā
ye ḳhvāb sā manzar hai bas ik 'umr kā mehmāñ
phir hashr talak is kā nazāra nahīñ hogā
phir kis liye ham zahmat-e-ummīd uThā.eñ
is shahr meñ jab koī bhī tujh sā nahīñ hogā
bhar jā.eñge ik roz sabhī ghaav hamāre
ai dard-e-mohabbat tirā chārā nahīñ hogā
aankhen use DhunDengi tamasha nahin hoga
wo dekhenge hum jo kabhi dekha nahin hoga
ek KHwab zar-o-sim se ghar bhar gae sare
ab koi yahan nind ka mara nahin hoga
dil hoga nahin hoga kisi yaad ka maskan
so baam-e-talab par koi chehra nahin hoga
hum honge nahin honge tere sham-o-sahar mein
lekin tujhe is baat ka dhaDka nahin hoga
ye sar ki bhara hoga farawani-e-shab se
phir ta-ba-abad dil mein ujala nahin hoga
ye KHwab sa manzar hai bas ek 'umr ka mehman
phir hashr talak is ka nazara nahin hoga
phir kis liye hum zahmat-e-ummid uThaen
is shahr mein jab koi bhi tujh sa nahin hoga
bhar jaenge ek roz sabhi ghaw hamare
ai dard-e-mohabbat tera chaara nahin hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.