aankhon aankhon kaT gai raat
Interesting Fact
محاوراتی غزل
āñkhoñ āñkhoñ kaT ga.ī raat
dil kī dil meñ rah ga.ī baat
ta.ane tohmat ilzāmāt
ishq ne baḳhshī ye sauġhāt
gesū abrū aariz lab
husn ke dilkash mauzuāt
ishve ġhamze nāz-o-adā
husn ke kyā kyā unvānāt
yādeñ sapne aañsū karb
ishq ke apne ma.amūlāt
akḌī chhakḌī bhūlā hai
dil ne khaa.ī aisī maat
qaabū paanā mushkil hai
aise machle haiñ jazbāt
koThoñ koThoñ chaḌhtī hai
muñh se jab bhī nikle baat
mujh par un kī chashm-e-karam
us ke kab haiñ imkānāt
aaheñ aañsū sadme ġham
mujh par un ke ehsānāt
kis ne kyā kyā paayā hai
apnī apnī taufīqāt
duniyā kaisī lagtī hai
apne apne mahsūsāt
jis kī lāThī us kī bhaiñs
saarī duniyā ke hālāt
daur-e-hāzir meñ 'bebāk'
ham jaisoñ kī kyā auqāt
aankhon aankhon kaT gai raat
dil ki dil mein rah gai baat
tane tohmat ilzamat
ishq ne baKHshi ye saughat
gesu abru aariz lab
husn ke dilkash mauzuat
ishwe ghamze naz-o-ada
husn ke kya kya unwanat
yaaden sapne aansu karb
ishq ke apne mamulat
akDi chhakDi bhula hai
dil ne khai aisi mat
qabu pana mushkil hai
aise machle hain jazbaat
koThon koThon chaDhti hai
munh se jab bhi nikle baat
mujh par un ki chashm-e-karam
us ke kab hain imkanat
aahen aansu sadme gham
mujh par un ke ehsanat
kis ne kya kya paya hai
apni apni taufiqat
duniya kaisi lagti hai
apne apne mahsusat
jis ki laThi us ki bhains
sari duniya ke haalat
daur-e-hazir mein 'bebak'
hum jaison ki kya auqat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.