aankhon ka bhi humse kabhi parda nahin rakkha
āñkhoñ kā bhī ham se kabhī parda nahīñ rakkhā
milne kā bhī lekin koī rasta nahīñ rakkhā
vo zaḳhm diye bād-e-sabā ne ki shajar ne
patta bhī sar-e-shāḳh-e-tamannā nahīñ rakkhā
ham ne to bahut saaf kiyā aa.ina dil kā
us ne magar ā.īne meñ chehra nahīñ rakkhā
dīvār uThā.ī agar alfāz kī us ne
bhūle se bhī ma.anī kā darīcha nahīñ rakkhā
duniyā ke liye baaġh lagā Daale haiñ 'fāḳhir'
apne liye ik shāḳh kā saaya nahīñ rakkhā
aankhon ka bhi hum se kabhi parda nahin rakkha
milne ka bhi lekin koi rasta nahin rakkha
wo zaKHm diye baad-e-saba ne ki shajar ne
patta bhi sar-e-shaKH-e-tamanna nahin rakkha
hum ne to bahut saf kiya aaina dil ka
us ne magar aaine mein chehra nahin rakkha
diwar uThai agar alfaz ki us ne
bhule se bhi mani ka daricha nahin rakkha
duniya ke liye bagh laga Dale hain 'faKHir'
apne liye ek shaKH ka saya nahin rakkha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.