aankhon ke charaghon mein ujale na rahenge
āñkhoñ ke charāġhoñ meñ ujāle na raheñge
aa jaao ki phir dekhne vaale na raheñge
jā shauq se lekin palaT aane ke liye jā
ham der talak ḳhud ko sambhāle na raheñge
ai zauq-e-safar ḳhair ho nazdīk hai manzil
sab kahte haiñ ab paañv meñ chhāle na raheñge
jin nāloñ kī ho jā.egī tā-dost rasā.ī
vo sānehe ban jā.eñge naale na raheñge
maiñ tauba to kar luuñ magar ik baat hai vaa.iz
kyā aaj se gardish meñ piyāle na raheñge
kyoñ zulmat-e-ġham se ho 'ḳhumār' itne pareshān
bādal ye hamesha hī to kaale na raheñge
aankhon ke charaghon mein ujale na rahenge
aa jao ki phir dekhne wale na rahenge
ja shauq se lekin palaT aane ke liye ja
hum der talak KHud ko sambhaale na rahenge
ai zauq-e-safar KHair ho nazdik hai manzil
sab kahte hain ab panw mein chhaale na rahenge
jin nalon ki ho jaegi ta-dost rasai
wo sanehe ban jaenge nale na rahenge
main tauba to kar lun magar ek baat hai waiz
kya aaj se gardish mein piyale na rahenge
kyon zulmat-e-gham se ho 'KHumar' itne pareshan
baadal ye hamesha hi to kale na rahenge
- Book : غزل اس نے چھیڑی-6 (Pg. 199)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.