aankhon ki bahti jhil mein manzar talash kar
āñkhoñ kī bahtī jhiil meñ manzar talāsh kar
ashk-e-ravāñ meñ phir koī paikar talāsh kar
ye kyā ġhazab hai us ne tirī pyaas chhīn lī
kis ne kahā thā tujh se samundar talāsh kar
āsār kah rahe haiñ zamāne ke roz-o-shab
ye daur-e-'ahd-e-shar hai na rahbar talāsh kar
hāthoñ se miT bhī saktā hai taqdīr kā likhā
‘ilm-o-‘amal kī raah se gauhar talāsh kar
nākāmiyoñ pe apnī pashemāñ na ho 'adīm'
phir ik na.ī zamīñ nayā ambar talāsh kar
aankhon ki bahti jhil mein manzar talash kar
ashk-e-rawan mein phir koi paikar talash kar
ye kya ghazab hai us ne teri pyas chhin li
kis ne kaha tha tujh se samundar talash kar
aasar kah rahe hain zamane ke roz-o-shab
ye daur-e-'ahd-e-shar hai na rahbar talash kar
hathon se miT bhi sakta hai taqdir ka likha
‘ilm-o-‘amal ki rah se gauhar talash kar
nakaamiyon pe apni pasheman na ho 'adim'
phir ek nai zamin naya ambar talash kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.