aankhon ki pyas yun bujhani hai
āñkhoñ kī pyaas yuuñ bujhānī hai
ziist yasrib hī meñ batānī hai
aarzū puurī ho ḳhudāvandā
varna to har shai be-ma'ānī hai
un ke dar kā hai ye sabhī sadqa
mere ash'ār meñ ravānī hai
tū mohammad ke ishq meñ kho jā
ye mohabbat hī jāvedānī hai
zindagī aap par nichhāvar hai
aap bin ziist be-ma'ānī hai
hai shafā'at kā aasrā varna
sharmsārī bharī kahānī hai
ho 'arab yā ki ho najaf 'shamsa'
shāh-e-ummat kī hukmrānī hai
aankhon ki pyas yun bujhani hai
zist yasrib hi mein batani hai
aarzu puri ho KHudawanda
warna to har shai be-ma'ani hai
un ke dar ka hai ye sabhi sadqa
mere ash'ar mein rawani hai
tu mohammad ke ishq mein kho ja
ye mohabbat hi jawedani hai
zindagi aap par nichhawar hai
aap bin zist be-ma'ani hai
hai shafa'at ka aasra warna
sharmsari bhari kahani hai
ho 'arab ya ki ho najaf 'shamsa'
shah-e-ummat ki hukmrani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.