aankhon ki takrar agar ho jae to
āñkhoñ kī takrār agar ho jaa.e to
dil par dil kā vaar agar ho jaa.e to
maiñ to us kī prem pujāran huuñ lekin
us ko mujh se pyaar agar ho jaa.e to
duniyā-dārī saarī dil kī badaulat hai
socho dil bīmār agar ho jaa.e to
darvāze ban jaate haiñ dīvāroñ meñ
darvāza dīvār agar ho jaa.e to
maanā apne hoñToñ ko sī loge tum
chehra hī aḳhbār agar ho jaa.e to
ghar se bāhar jā kar jashn manāoge
ghar meñ hī tyauhār agar ho jaa.e to
aankhon ki takrar agar ho jae to
dil par dil ka war agar ho jae to
main to us ki prem pujaran hun lekin
us ko mujh se pyar agar ho jae to
duniya-dari sari dil ki badaulat hai
socho dil bimar agar ho jae to
darwaze ban jate hain diwaron mein
darwaza diwar agar ho jae to
mana apne honTon ko si loge tum
chehra hi aKHbar agar ho jae to
ghar se bahar ja kar jashn manaoge
ghar mein hi tyauhaar agar ho jae to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.