aankhon ko hum aasman kahenge
āñkhoñ ko ham āsmāñ kaheñge
ashkoñ ko bhī kahkashāñ kaheñge
hasrat ko nigah kaheñge phir ham
nazzāre ko imtihāñ kaheñge
dil ko bhī kaheñge rahguzar ham
aur dard ko kārvāñ kaheñge
kis kis ko sunā.eñge tirā ġham
kis kis se ye dāstāñ kaheñge
is raah meñ dil luTā diyā hai
ab ham ye kahāñ kahāñ kaheñge
kūche meñ jab aaoge hamāre
dil se tumheñ mehmāñ kaheñge
tanhā.ī meñ chauñk uTTheñge yak-dam
aahaT ko faqat gumāñ kaheñge
āvāz pe kaun Thertā hai
ruk jā.eñge ham jahāñ kaheñge
āsān kahāñ thī dastaras bhī
koshish ko bhī rā.egāñ kaheñge
marzī hai tumhārī jo kaho tum
ham ziist ko bas fuġhāñ kaheñge
hangāma-e-roz-o-shab ko ya.anī
be-intihā mehrbāñ kaheñge
aankhon ko hum aasman kahenge
ashkon ko bhi kahkashan kahenge
hasrat ko nigah kahenge phir hum
nazzare ko imtihan kahenge
dil ko bhi kahenge rahguzar hum
aur dard ko karwan kahenge
kis kis ko sunaenge tera gham
kis kis se ye dastan kahenge
is rah mein dil luTa diya hai
ab hum ye kahan kahan kahenge
kuche mein jab aaoge hamare
dil se tumhein mehman kahenge
tanhai mein chaunk uTThenge yak-dam
aahaT ko faqat guman kahenge
aawaz pe kaun Therta hai
ruk jaenge hum jahan kahenge
aasan kahan thi dastaras bhi
koshish ko bhi raegan kahenge
marzi hai tumhaari jo kaho tum
hum zist ko bas fughan kahenge
hangama-e-roz-o-shab ko yani
be-intiha mehrban kahenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.